Tuesday, 7 May 2013

Sawan Ke Suhane Mausam Mein

Sawan Ke Suhane Mausam Mein

Sawan Ke Suhane Mausam Mein
Ik roop ki raani yaad aayi ,

Wo bagh ka manzar yaad aaya
Jhulon ki kahani yaad aayi,

Madhosh fazaa, mastaana samaa
Baadal ka wo jhukna kheton per
Yunh mast hawa lehraane lagi
Chunri koi thame yaad aayi,

Koyal ki manhaarein matwaali
Moron ke taraane mastaane
Rim jhim ka wo aalam kya kahiye
Wo baat puraani yaad aayi,

Har simt basanti phool khile
Gulshan mein baharein jab aayi
Jo saath kisi ke guzri thi.
Wo shaam suhaani yaad aayi,

Sawan ke suhane mausam mein
Ik roop ki raani yaad aayi ,

No comments:

Post a Comment