Wednesday, 1 May 2013

Tere Milane Ko Bekrar Ho Gaye Hain


Tere milane ko bekal ho gaye hain
magar ye log pagal ho gaye hain

baharen leke aaye the jahan tum
wo ghar sunsan jangal ho gaye hain

yahan tak badh gaye aalam-e-hasti
ki dil ke hausale shal ho gaye hain

kahan tak tab laye natavan dil
ki sadame ab musalsal ho gaye hain

nigah-e-yas ko neend aa rahi hai
musarda purashk bojhal ho gaye hain

unhen sadiyon na bhulega zamana
yahan jo hadase kal ho gaye hain

jinhen hum dekh kar jite the" Fasi "
wo log aankhon se ojhal ho gaye hain

No comments:

Post a Comment