Wednesday, 1 May 2013

Tere Bare Mein Jab Socha Nahi Tha


Tere bare mein jab socha nahi tha
main tanha tha magar itna nahi tha

Teri tasvir se karta tha baten
mere kamare mein aaina nahi tha

Samandar ne mujhe pyasa hi rakha
main jab sehra mein tha pyasa nahi tha

Manane-ruthane ke khel mein hum
bichad jayenge ye socha nahi tha

Suna hai band kar li us ne aankhen
kai raton se wo soya nahi tha !

No comments:

Post a Comment